जब से तेरे नैना मेरे नैनों से लागे रे
जब से तेरे नैना मेरे नैनों से लागे रे
तब से दीवाना हुआ
सब से बेगाना हुआ
रब भी दीवाना लागे रे
रब भी दीवाना लागे रे... हो हो हो
Next Day
Morning 8 baje
At sharma mention
Sabhi koi ready hokar mandir me pooja kr rahe the. Pooja ho Jane ke baad sanvi sabhi ko prasad deti hai aur use lekar sabhi bhagwan ki or pranam karke vahan se sidhe dinning table me jakar baith jaate hai aur jaise hi Khana serve karne jaate hai vaise hi main door se kisi ki aavaj aati hai.
:- Surprise
Everyone:- Akshu
Akshu:- Ha main
Everyone:- Tum kab Aayi?
Akshu :- main to tabhi aa gayi thi jab aap sab mandir se dinning table par aaye breakfast karne par kisi ne mujhe notice hi nahi kiya 🥲.
Sanvi:- Sorry bachha mera dhyan hi nahi gya "said while hugging"
Akshu to abhiraj:- pranam uncle
Abhiraj:- humne kitni baar kahan hai aapse ki betiya pair nahi chhuti gale multi hai.
Akshu:- Sorry uncle next time yaad rakhungi aapki ye baat.
Vihaan:- Aur meri baat🤨.
Akshu:- Kya baat bhaiya "while making innocent face"
Vihaan:- tumhe nahi pata 🤨
Akshu:- Hn hn pata hai jyada bahar akele mt ghuma karo sath me kisi ko le jaya karo aur ho sake to mujhe le jaya karo, ghar aakar hamesha main door pr khadi mt raha kro sidhe ander aa jaya karo yahi naa.
Vihaan:- Hn
Akshu:- Chalo ab aap sab breakfast karo tb tk main vaha baithi hu hall me.
Shivya:- Hn hn chalo sb breakfast krte hai ab sabse to Mil liya Madam ne ab bacha hi kaun hai "said sarcastically" ab to mast hall me baith ke phone chalayegi madam 😏
Akshu:- Oh to meri shivya madam ko bura lg Raha hai ki main usse nahi mili aur sayad bhul bhi gayi.
Shivya:- 😏😏😏
Akshu:- To main aap sabko bata du main aap sabse pahle issiliye mili kyuki main baad main meri shivya madam ko unki manpasand Jasmine bukey aur gulab jamun de saku , Khair vo to naraj hai mujhse.
Shivya:- kisne kaha main naraj hu dekh main to tujhse gale bhi mil rahi hu " said while hugging her"
Akshu:- dramebaaz, ye le bukey aur tere manpasand gulab jamun 😋 ja ab breakfast kr fir ghumne jayenge.
Shivya:- Tu bhi aa sath me breakfast karenge.
Akshu :- maine kr liya hai ghar me.
Shivya:- Achha thik hai.
Aise hi sab breakfast karke apne apne kaam me chale jaate hai aur shivya and akshu bhi aaj bahar ghumne chale jaate hai jaise ki kl un dono ki phone pr baat Hui thi.
Vahi dusri taraf shivyansh bhi aaj hospital aakar sare kaam finish karne lagta hai jisse aaj uske saare kaam jaldi khatam ho jata hai aur vh aaj jaldi ghar chala jata hai.
Aise hi din nikal jata hai aur raat ho jati hai Agnivanshi house me dinner karke sabhi sath me baithe hote hai tabhi shivyansh ke papa kahte hai.
Aadvik:- Shiv kl main aur teri maa mirzapur jaa rahe hai.
Shiv:- Thik hai papa.
Aadvik:- Thik hai nahi tu hame leke jayega, maine driver ko bola tha but unki tabiyat kharab ho gayi hai to nahi aa payega aur baki ke driver's bhi abhi chutti me hai.
Shiv:- ok papa Thik hai.
Next Day
Sharma mention
Sharma mention me Ghar ko achhe se saaf karaya gya tha aur use achhe se sajaya ja raha tha kitchen me Alag alag pakwaan bn rahe the jiski khusbu pure Ghar me aa rahi thi tabhi shivya niche aakar kitchen me khade apne mummy papa se puchti hai.
Shivya:- maa papa ye aap log itni sari dishes kyu bana rahe hai aur papa aaj aapko office nahi jana kya?
Abhiraj:- nahi aaj main chutti me hu aur mujhse milne mere bestfriend aa raha hai to usi khusi me ye sab ban Raha hai.
Shivya:- Oh mtlab Aadvik uncle aa rahe hai 😊.
Sanvi:- Ha aur sath me unke bete aur unki wife bhi .
Shivya:- Oh!!
Abhiraj:- Oh nahi beta vo log tujhse milne aa rahe hai.
Shivya:- Mujhse milne kyu papa.
Abhiraj:- Shadi ke liye beta.
Shivya:- Lekin papa aap jante hai na ki hum shadi nahi karna chahte reason bhi aapko pata hai aur abhi to hum sirf 21 ke hi hai to fir...
Abhiraj:- i know beta isliye to abhi sirf roka karne ka soch rahe hai vo bhi tb hoga jab aap dono bachhe ek dusre ko jaan loge pahchan loge, lekin agar aap logo ko ye rishta pasand nahi hoga to hum ye rishta nahi karenge.
Sanvi :- Haa shivya aapke papa thik kh rhe hai beta.
Shivya:- Thik hai maa, (mn me )kisi bhi tarah hume unhe Manana hoga ki hum ye shadi nahi karna chahte.
Vahi dusri taraf
Aadvik, Esmita aur shivyansh mirzapur ke liye nikal gaye the car shiv hi drive kr raha tha tabhi aadvik kahta hai...
Aadvik:-Tumhe pata hai hum mirzapur kyu jaa rahe hai?
Shiv :- Haa papa shayad aapko koi kaam hoga ya aap apne kisi freind se milne jaa rahe honge.
Aadvik:- Main nahi hum sab milne jayenge.
Shiv :- Kyu papa aur kisse milne jayenge.
Aadvik:- Abhiraj ke ghar.
Shiv:- ohh par hum sab kyu aap akele bhi to ja sakte the na.
Aadvik:- i know lekin hum vha ladki dekhne Jaa rahe hai.
Shiv:- Kiske liye?
Aadvik:- Kiske liye matlab 🤨 tere liye
Shiv:- papa aapko pata hai na....
Aadvik:- Haa ki tu shadi nahi karna chahta, lekin ek baar Milne me kya burai hai agar tum dono ko ye rishta pasand nhi hoga to hum ye rishta nahi karenge.
Esmita:- Haa shiv tere papa sahi kah rahe hai.
Shiv:- Ha tabhi main sochu ye itne pyar se kyu bol rahe hai jaane ke liye ab pata chala jhuth bolkar laye hai mujhe aap dono mujhe yahan.
Aadvik:- 🤨😏
Shiv:- (mn me)Bhale hi main papa ke kahne par ja raha hu Milne lekin hum unhe shadi ke liye ha nahi karenge aur unhe bhi hum Bata denge ki hum ye shadi nahi karna chahte.
Aise hi vo log ab mirzapur pahuch jate hai.....
Thanks for Reading 💗
How was the chapter ? Let me know in the comments below 👇
Follow me on Wattpad, Stck and Instagram for early update.
Write a comment ...