इश्क़ बुलावा जाणे कब आवे
इश्क़ बुलावा आवे जब आवे
मैं था कोल तेरे रेहणा
मैं था कोल तेरे रेहणा
मैं था बैठा कोल तेरे
तेन्नु ताकंदा रवा
बातों पे तेरी हांसदा रवा
पागल में खुद नू बानानदा रवा
तू हँसदी रावे में हंसानदा रवा
तेन्नु तकदा रवा
After 2 days
Wednesday
Sharma mention
Shivya's room
Shivya:- Tu kahan hai itne din se Milne kyu nahi Aayi, tujhe pata bhi hai kitna miss kr rahi hu tujhe(on call)
:- Ha ha pata hai madam aap mujhe kitna miss kar rahi ho, tabhi to agar main Milne nahi aayi to tu bhi nahi aa sakti.
Shivya:- akshu tujhe pata hai na main akele nahi aa sakti " said with moist eyes" fir bhi tu...
:- Ha ha hame pata hai aur humne aapko yahi batane ke liye call Kiya hai ki ab kuch dino me college ke third semester start ho jayenge to abhi chutti me kahi ghum kr aate hai.
{ Jii ha ye aur koi nahi humare shivya ki bestfriend hai swarnakshi jise sab pyar se akshu ya Swarna bulate hai}
Shivya:- Achha thik hai.
Akshu:- ok buy "call disconnected"
Baat karne ke baad shivya niche hall me jaati hai aur dekhti hai ki..
Abhiraj:- sorry aadvik us din baat nahi hui thi meeting me tha"Told Shivyansh's father on the phone"
Aadvik:- koi baat nahi waise bhi mujhe bhi to apni meeting ke liye late ho raha tha, waise ye sab chodo shivya beti kaisi hai Badi ho gayi hogi na?
Abhiraj:- Ha meri bachhi bahut badi ho gayi hai, yahi pr hai ye lo baat karo, to shivya Aadvik uncle aapse baat karna chahta hai baat karo beta.
Shivya to Aadvik:- Pranam uncle.
Aadvik:- khush raho beta.
Shivya:- kitna time ho gya uncle aapkoGhar aaye hue, pahle to aap politics kekaam ke bahane aa bhi jaate the lekin jab se aap CM bane hai tabse aapko bilkul bhi time nahi milta humse Milne ka haina.
Aadvik:- Aisi baat nahi hai beta aap jab Hume bulao tb hum aapse milne aa jayenge " Aur ab se Aisa kabhi mt kahna ki hum aapse milne kaam ki vajah se nahi aate humare liye humare apne pahle hai fir kaam baad me" Samjhi.
Shivya:- Jii uncle ye lijiye papa se baat kijiye "Saying this, he handed the phone to his father".
Abhiraj:- Chal aadvik phone rakhta hu bye.
Aadvik:- Bye good night (call disconnected)
Abhiraj:- Chaliye sab sath me dinner karte hai.
Sanvi:- Hum Vihaan ko bula laate hai kaam kr raha hoga.
Abhiraj:- Han Han jaiye kyuki Maharaj khud se to aayenge nahi khana khane roj ki tarah.Sanvi:- kuch jyada nahi bol rahe Aaj aap ha
Sanvi:- kuch jyada nahi bol rahe Aaj aap 🤨.
Abhiraj:- HeHe main to aise hi...
Uske baad sanvi Vihaan ko bula kr lati hai aur sab sath me dinner karte hai. And apni family time enjoy karte hai..
At Agnivanshi house
Hall me baithe hue vo log baat kr rahe the.
Esmita:- Pata nahi mere bache kb aayenge
Aadvik:- ye aa to gaye aapke bete.
Esmita:- Main shiv ki baat nahi kr rahi Main to vedaksh aur Aasvik ki baat kr rahi hu.
Aadvik:- Vo dono bhi aa jayenge isu aap tension kyu le Rahi Hain.
Esmita:- Ha wo to hai....... lekin aapne kya kaha isu, aapko pata hai na ki shivyansh yahi hai phir bhi.
Aadvik:- To Hume aapko kuch bhi bulane ke liye ye dekhna jaruri thodi hai ki koi hai ya nahi haina ishuuuuu " says teasingly"
Esmita:- kya aap bhi shivyansh yahi hai bagal me vo sunega to kya sochega
Le shivyansh:-He is laughing looking at both of them And praying to God he said, Mahadev, keep them like this forever.
Shivyansh:- maa papa main room me jaa Raha hu mujhe nind aa rahi hai good night "Saying this, he leaves"
Aadvik:- Ha janab ka kaam ho gya tabhi nind aa rahi hai nahi to kitna bhi time ho jaye kahan ise nind aati hai
Esmita:- Bahut ho gaya aapka chaliye ab room me fir batate hai hum aapko.
Aadvik:- Are humne aapko Sabse jaruri baat to batana hi bhul geye"said with a smile
Esmita:- Hum jo soch Rahe hai vahi baat hai na tabhi itna khush dikh rahe hai aap
Aadvik:- haanji
Esmita:- Lekin hum ye baat shiv (shivyansh) se kahenge kaise vo to sidha mana hi kr dega.
Aadvik:- Hume pata hai hum apne bete ko mana hi lenge chahe uske liye hume jhuth hi kyu na bolna pade.
Esmita:- Lekin..
Aadvik:- Lekin vekin kuch nahi aap chahti hai na Shiv ki life me Khushiyan hi Khushiyan ho to bas.
Esmita:- Thik hai chaliye ab late ho raha hai sona hai na
At sharma mention
Shivya's mom dad room
Sanvi:- Abhiraj jii hum use milne ke liye kahenge kaise aapko pata haina vo kisi bhi insaan se akele me milne se kitna darti hai aur khaskar jab vo koi ladka ho.
Abhiraj:- I know lekin hum kisi bahane se apni beti ko bhej denge unke bete ke sath baat karne ke liye.
Sanvi:- Achha thik hai ab so jate hai raat kafi ho gayi hai fir parso ke liye taiyariya bhi to karni hai.
Abhiraj:- Achha thik hai good night.
Sanvi:- Good night.
{ I know chapter bahut boring hai ye mujhe likhte hue bhi lag raha hai but aane wala next chapter boring nahi hoga and aap sabko pasand aayega}
Thanks for Reading💗
How was the chapter? Let me know in the comments below."
Follow me on Wattpad, Stck and Instagram also for early updates.
Write a comment ...