03

Chapter 1

This is my beginning as a new writer. Whatever i write, i will write it from my heart with few expectations.

If you liked this or enjoyed it even a little bit nothing would make me happier.

{ I don't not intend to hurt you with any of the words written here}

Let's start by taking the name of Mahadev 🌺 🤌.

करम जिसे पुकारे वो पहुँचे गंगा किनारे

ना कर मैली तू गंगा, तन धोए, मन तो गंदा

पलट के फिर ना आनी बोली बात और बहता पानी

ना कर मैली तू गंगा, तन धोए, मन तो गंदा

BANARAS 📍

Morning 6 Am

Agnivanshi house

Subah ke 6 baj rahe the aur Agnivanshi house ke mandir me ek lady aarti krne ke baad Shivji se prarthna karte hue kahti hai "shivji aap hamesha se jante hai ki main aapse sirf ek hi chiz mangti hu ki aap sadev mere parivaar pr apna aashirwad banaye rakhana " iske alawa mujhe kuch bhi nahi chahiye.( Ye lady aur koi nahi balki Esmita hai humare shivyansh ki maa)

Aarti krne ke baad vo apne room me jaati hai aur kisi ko uthate hue kahti hai.

Esmita:- Ab aap uth bhi jaiye roj roj hum aapko uthane nahi aayenge.

:- Hume pata hai aap roj subah yahi kahti hai aur dusre din phir hame uthane aa hi jati hai.

Esmita:- Isliye aap roj khudse nahi uthte ki aap hame pareshan kr sake 🤨.

:- Are hamari itni himmat kahan ki hum apni "prano se bhi pyari patni "ko pareshan kre.

( Vo aur koi nahi balki aadvik hai shivyansh ke papa)

Esmita:- Ab bus aaj ke liye itna pyar kafi hai.

Aadvik:- Par hum to isse bhi jyada pyar karte hai apni patni se.

Esmita:- Ab bas bhi kariye Aadvik jii jakar naha lijiye.

Aadvik:- Achha thik hai 😐.

ASSI GHAT

Jaha ganga aarti hone hi wali hoti hai vahi pr aarti me shamil hone ke liye log jaldi jaldi aate hi rahte hai ki tabhi ek bujurg aurat girne hi wali hoti hai ki tabhi unhe koi pakad leta hai aur kahta hai "dekh ke Amma abhi aapko lag jaati,sambhal kar chaliye"

Amma:- Aise kaise lag jati shivji hai na vo hamesha hame Sankat se bacha lete hai jaise abhi unhone aapke jariye bachaya.

:- kya Amma Aap bhi.....

Amma:- Waise beta aapne apna naam to hame bataya hi nhi.

:- Mera naam Shivyansh Agnivanshi hai.

( Jii ha vo aur koi nahi balki hamare shivyansh hi hai)

Amma:- Aapka to naam bhi shivji ke naam se bana hai.

Shivyansh:-( softly smile) chaliye Amma ab ganga aarti hone hi wali hai

Amma:- Haa .

ॐ जय गंगे माता, मैया जय गंगे माता।

जो नर तुमको ध्याता, मनवांछित फल पाता.....

After aarti

Shivyansh vahi pr ek shivji ke mandir me jaata hai aur shivji ki puja karne lagta hai. Lagbhag use Puja karne me aadha ghanta lagta hai. Puja hone ke baad vh bahar nikal kar sidhe apni car me baith jaata hai aur khud se baate karta hua kahta hai

Chalo aaj jaldi hospital pahuch kr sare kaam jaldi kar lunga.

Iss tarah baat karte hue vh hospital pahuch jaata hai aur apne kaam karne lagta hai.

After sometime

In the dinning area

Aadvik:- Aaj aapka beta najar nahi aa raha hospital chala gaya kya?

Esmita:-Are aapko yaad nahi hai kya aaj Monday hai vo sidha ganga ghat se hi hospital chala gaya.

Aadvik:- Haa aaj Monday hai main bhi apne kaam ki vajah se bhul gya tha.

Esmita:- Vah Aaj kal Netaji bhi bhulne lage .

Aadvik:-Tension mt lijiye madam sabko bhul sakta hu pr aapko nahi 😚.

Esmita:- Blushed hard ☺️.

At other place

Mirzapur 📍

At sharma mention .

Subah ke 11 baj rahe the vahi sharma mention ke room me ladayi ho rahi thi.

He:- Aap time se taiyaar ho to jayengi na.

She:-Haa hum to time se taiyaar ho jayenge lekin aap apni dekhiye.

He:- Are vo to hum isliye puch rahe the kyuki hame sath me Lunch karne jaana hai dinner karne nahi.

She:- Aapke kahne ka matalab kya hai ki hum time se taiyaar nahi hote kahi bhi Jane ke liye 🤨.

He:- Are humne Aisa kab kaha hum to bas aapko yaad dila rahe the 🥲.

She:- Rahne dijiye hum sab jaante hai ki ab aap humse tang aa gaye hai isliye aisi baate bolte hai 😭.

He:- Aisa kisne kaha hum to apni shrimati jii se bahut pyar karte hai 😌.

She:- proof karke dikhaiye.

He:-Ab isme proof kya karna shrimati jii hamare do bachhe hai kya vo kafi nahi hai proof ke liye 😚.

She:-😳😳😳☺️.

{ Jii ha ye hamare shivya ki hi maa- papa hai Abhiraj aur Sanvi}

Abhiraj:- Vaise bachho se yaad aaya kahaan gaye hai hamare dono bache ?

Sanvi:-Aapko yaad nahi aaj Monday hai aapki laadli beti ne mere bete ko apne sath mandir leke gayi hai.

Abhiraj:- Chalo vo bhi thik hai roj to driver ke sath jaati hi hai aaj use bhi (shivya's brother) apne sath le gayi🤧.

Isi tarah vo dono ready hokar apne car me Lunch ke liye chale jaate hai.

At Mandir

He:- Choti jaldi chalo aur apni Pooja puri karo fir mujhe office bhi to jaana hai.

She:- Kya bhaiya kam se kam pooja to acche se karne dijiye aur sath me AAP bhi kriye ab chaliye bhi.

He:- Achha baba thik hai 😐,Ab tumhare aage meri kya hi chalegi

" Ab vo dono Mandir ander chale jaate hai aur pandit jii ko puja ki thaal de dete hai jisme puja ki sari samagri hoti hai tabhi pandit puchte hai"

Beti aapka pura naam bataiye?

She:- Shivya Sharma pandit jii.

{ Jii ha ye aur koi nahi balki hamari SHIVYA hi hai aur sath me unke bhaiya Vihaan hai}

Panditji:- ye sath me kaun hai beti?

Shivya:- ye mere bhaiya hai pandit jii .

Ab vo dono bhagwan ko aur pandit jii ko pranam krke vahan se chale jaate hai.

{ I know ye first chapter hai to boring laga hoga but aage ke chapter's boring nahi honge , main puri koshish karungi ki ye story intresting se bhi jyada wala intresting ho sake}

Thanks for Reading 💗

How was the chapter? Make sure to comment below.

Write a comment ...

Write a comment ...